Kanz e Aza

Mai Pyasa Tahe

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mubarak Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

sarwar ka gala khushk tha aur kund tha khanjar

reh reh ke phirata tha layeen sookhe galay par

teeron pe muallaq raha shabbir ka laasha

maa kehti rahi godh may aaja mere beta


mai pyasa tahe taygh tadapta raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma


kat'ta tha gala mera qayamat ki ghadi thi

zainab dare qaime se khadi dekh rahi thi

khanjar mere halqoom pe chalta raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma

mai pyasa tahe taygh...


gehwara jhulate thay kabhi jiska farishte

is tarha usay qatl kiya shimr e layeen ne

pyasa dam e aakhir mai tadapta raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma

mai pyasa tahe taygh...


wo hota jo zinda to mujhe kuch nahi hota

aajata madad ko mera abbas kahan tha

laasha mere bhaiya ka larazta raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma

mai pyasa tahe taygh...


tapte huwe sehra pe ajab zulm tha mujh par

amma wo sitamgar ka bahot kund tha khanjar

kat'ti thi ragay jism uchalta raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma

mai pyasa tahe taygh...


thay zakhm bahot hi tane mazloom pa amma

khanjar tha rawan shimr ka halqoom pa amma

pehlu may jo naiza tha wo chubta raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma

mai pyasa tahe taygh...


tanha tha mai har simt se ghere thay sitamgar

abbas na zinda thay na zinda ali akbar

sadma mujhe in sab ka rulaata raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma

mai pyasa tahe taygh...


aisa tahe khanjar tha guluye shahe waala

haa zer-e-tan-e-shaah wo tapta hua sehra

har saans pe takleef utha'ta raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma

mai pyasa tahe taygh...


sarwar ke masayab pe zamana hai tadapta

pur dard ye nauha jo mubarak ne hai likha

is bayn pe rehan tadapta raha amma

aur saamne behta hua darya raha amma

mai pyasa tahe taygh...