maidan ki jalti reti par
ek pyase ki peshani hai
is sajda e aakhir par sheh ke
aalam ko badi hairani hai
har aane waale ko bacche
takte hai nigaahe tishna se
is dard mein doobe manzar se
darya bhi pani pani hai
maidan ki jalti...
haathon pe pidar ke maidan mein
islam bachane jaaunga
hyder ke ye nanhe pote ne
kya baat ye dil mein thaani hai
maidan ki jalti...
masoom isharon ke hamle
baatil ki kamar ko tod gaye
ye fatha quloob e aada par
baysheer teri la-saani hai
maidan ki jalti...
ek laasha e be-sar se lipti
masoom sakina roti hai
khushboo e pidar se maqtal mein
is laash ko wo pehchani hai
maidan ki jalti...
jis roz se kunba qatl hua
us roz se ahlebait ke ghar
har waqt hai ya to seena zani
ya lab pe nauha khwani hai
maidan ki jalti...
israar na itna gham hota
zainab ki aseeri ka dil par
ek fard bhi keh deta us dam
loota na isay saydani hai
maidan ki jalti...