Kanz e Aza

Maidan Mein Zainab

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Qaisar Barhvi. Lyrics in Roman Urdu.

ay laal mere akbar

mai qurban tere akbar

de aake sahara akbar ki

mayyat ko utha kar le aaye


gar teri ijazat ho bhai

maidan mein zainab aajaye

ay laal mere akbar

mai qurban tere akbar


ashoor ko tu ne asr talak

kya kya na uthaye hai sadme

khud apne jigar ke tukdon ke

laashe bhi uthaye hai tu ne

ye laash jawan ki hai bhai

sadme se kahi na mar jaaye

ay laal mere akbar...


akbar ne pukara bhaiya ko

tab se nahi deta dikhlayi

bete ki judaai ke sadme se

khatm hui hai beenayi

uth'te hai kabhi girte hai

khuda ye din na kisi ko dikhlaye

gar teri ijazat ho bhai...

ay laal mere akbar...


akbar ka badan talwaro se

aada ne kiya tukde tukde

barchi jo kaleje mein utri

to dil bhi hua tukde tukde

shabbir ne jo manzar dekha

wo khoon ke aansu rulwaye

ay laal mere akbar...


athara baras ka akbar hai

hai aalam e peeri mein bhaiya

sadma hai qayamat ka dil par

laasha hai uthana akbar ka

ay kaash paye imdad e aqi

darya se ghazi aa jaaye

ay laal mere akbar...


abbas gaye kya dunya se

bhai ki kamar hi tod chale

ek saath tha akbar ka baaqi

so wo bhi moo ko mod chale

peeri mein uthe laasha kaise

hamsheer sahara ban jaaye

gar teri ijazat ho bhai...

ay laal mere akbar...


ay shadman itna pyara tha

shabbir ko zainab ka parda

ye kehte huwe qaisar sheh ne

qurban ali akbar ko kiya

na mumkin hai mere hote huwe

maidan mein zainab aa jaaye

gar teri ijazat ho bhai...

ay laal mere akbar...


shabbir ne ro ro ke kaha zainab e muztar

parde pe tere hogaya qurban ali akbar

maqtal mein nahi aana khule sar meri khwahar

ta hashr salamat rahe zainab teri chadar

kuch yaad hai jab dafn hui raat ko maadar

us waqt bhi tu ghar se nahi aayi thi baahar

aray dekhega tujhe ran mein to mar jayega bhai

haan maut se pehle hi guzar jayega bhai