Kanz e Aza

Darbar ke Diye

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Qaisar Barhvi. Lyrics in Roman Urdu.

chaaya hayaat e binte nabi par wo izteraam

tadpe tahe mazaar bhi mehboobe kirdigaar

darbar mein khadi rahi ismat ki taajedaar

is waaqaye pe aaj bhi insaan hai ashk baar

haye zahra badi mazloom hai zahra


darbar ke diye huwe zakhmon ne keh diya

dunya mein chand roz ki mehman hai fatema


fizza tere supurd hai ab mere gulsitaan

tu mere baad hai mere bacchon ki paasban

bacche tujhe samjhte meri tarha se maa

ab mera pyaar teri mohabbat se ho ayan

ehsaas e ranj ho na kisi noor e ain ko

rakhna sukoon se mere hassan aur hussain ko

haye zahra badi mazloom hai zahra

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


fizza mere hussain pe royegi bekasi

sehra ki nazr hogi mere ghar ki roshni

lut jayegi tamaam kameini batool ki

khallaaq e do jahan tujhe bakshega zindagi

rakhna khayaal sadma e zehra siwa na ho

zainab ke sar se chadar e zainab juda na ho

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


aakhir mein bu-turaab se itna kiya kalaam

mera salaam lijiye aisa hi be-anaam

zehra pe is jahan ke maraahil huwe tamaam

mai jaa rahi hoo chod ke ye aarzi maqam

ukhdi hai saans waqt mein vus'at koi nahi

keh dijiye ke mujhse shikayat koi nahi

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


farmeina bu-turaab ne ay jaane mustafa

tum se mujhe ho koi shikayat ye kya kaha

kaati tamaam umr ba khushnoodi e khuda

quran jis pe naaz kare wo amal kiya

taabindagi e shehr e nabi fatema se hai

roshan charaghe mustafa bhi fatema se hai

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


naagaah fatema ne kiya khuld ka safar

rone lage wasi e payambar jhuika se sar

shor e fughan mein doob gaya fatema ka ghar

fizza pukari paon ke talwon ko choom kar

ay shaahzadi ay meri maqdooma alwida

ismat ki rooh saabira mazlooma alwida

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


wo josh e gham wo fatema ke phool beqaraar

sab se zyada zainab o kulsoom ashk baar

ghamgeen faza pe likh gaye aankhon ke aab shaar

uht'ta hai ab janaza e khatoon e rozegaar

manzar mein ehteraam e wasiyat liye huwe

taboot par bhi raat hai parda kiye huwe

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


taboot suye qabr e payambar hua rawan

jis tarha gulsitan ke taraf boo e gulsitan

lekin wo be-zameer nazar aaye darmiyan

mashoor hai jo aale nabi ke udoo e jaan

khusboo tadap ke reh gayi gulshan na mil saka

beti ko apne baap ka daaman na mil saka

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


ay jannatul baqi e madina salaam le

tukda dil e rasool ka saumpa gaya tujhe

zaahir ye gham hai aaj bhi qabre batool se

rauza giraya dushmane aale rasool ne

sadiyon ke baad bughz ki haalat wohi rahi

paykar badal gaye pa shakawat wohi rahi

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


ay jannatul baqi wo din aayega zaroor

ghaarat garon ka khaak mein mil jayega ghuroor

insan se kahega khud insan ka sha'oor

islam ki hayaat hai aale nabi ka noor

ek din tamaam qasre raunaq girayenge

phir bhi misaale rauza e zehra banayenge

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...


qaisar ba-zikre fatema zehra dua karo

ya rab imam e waqt ka jaldi zahoor ho

awaaz aaye ahle mawaddat utho utho

jaldi chalo madina e khairul wara chalo

majlis bapa hai rauza e binte rasool mein

zikre hussain chahiye baaghe batool mein

darbar ke diye huwe...

dunya mein chand roz ki...