Kanz e Aza

Darbari Baithe Hai

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Ahsan Mujtaba. Lyrics in Roman Urdu.

jisne sada se pehle hamesha ata kiya

beti usi ki ban ke sawali khadi rahi


jo samjhe musalaman musibat yehi hai

ke darbari baithe hai zahra khadi hai


sitam hai muhammad ki thereer padh kar

sabhi has rahe hai wohi ro rahi hai

ke darbari baithe hai...


hijab e khuda hai jo binte nabi hai

wo darbar may jaane kabse khadi hai

ke darbari baithe hai...


diya aise ummat ne baba ka pursa

batool apne pehlu ke bal gir padi hai

ke darbari baithe hai...


bata mujhko amma mera jurm kya tha

ye mohsin ki ab bhi sada aa rahi hai

ke darbari baithe hai...


karegi na zahra ab apna koi gham

ali ke galay may rasan dekhti hai

ke darbari baithe hai...


khayaal aa gaya berida betiyon ka

wo ghazi ka kurta jabhi see rahi hai

ke darbari baithe hai...


hai mushkil bada qabre zahra banana

ali ke labon pe bhi nade ali hai

ke darbari baithe hai...


batool ab bhi qabre shikasta se ahsan

imam e zaman ko sada de rahi hai

ke darbari baithe hai...