ya sayyeda ya tahera ya umme abiha
salaam jis ko alaihis salam karte hai
wo fatema hoo mai
jhuk ke hasnain bhi jis se kalaam karte hai
wo fatema hoo mai
mujhe hi raaziya marziya sadeeqa kehte hai
mujhe taahira umme abiha kehte hai
wo jiska ahmed bhi ehteraam karte hai
wo fatema hoo mai
salaam jis ko…
daleel e haq tera sajda teri jabeen to nahi
tera wajood gumaan hai tera yaqeen to nahi
mai fatema hoo sadaqat ki wo daleel hoo mai
agar mai kehdun khuda hai to hai nahi to nahi
bana ke sura e kausar mujhe utaara gaya
mujhe hijaab e muzammil se hai pukara gaya
tazeeem jiski baara imam karte hai
wo fatema hoo mai
salaam jis ko…
khuda ne aise jahan may mujhe badaayi di
quran ne aayaton se meri hi gawahi di
wo jiske ghar se arshi ta'aam karte hai
wo fatema hoo mai
salaam jis ko…
nabi ki beti hoo darbar may khada na karo
hijaab e kibriya hoo mujhko yun ruswa na karo
wo jis ke dar pe farishte qayam karte hai
wo fatema hoo mai
salaam jis ko…
yun mere ghar ko musalmano tum jalao na
aur mere pehlu pe darwaze ko girao na
darood jis pe sab khaas o aam padte hai
wo fatema hoo mai
salaam jis ko…
dehr may aise mujhe tum agar rulaoge
hashr may kaise shafa'at nabi se paoge
hisaab e mehshar khuda jiske naam karte hai
wo fatema hoo mai
salaam jis ko…
jo khaali lauti thi darbar se zaeef ho kar
ali imam se yasir thi kehti ro ro kar
ke jiske hone se saare nizaam chalte hai
wo fatema hoo mai
salaam jis ko…