hyder ki wasiyat hai ye saare zamane ko
zainab ko nahi aaye koi bhi rulaane ko
taakeed hai hargiz ye koi na sitam dhaaye
shabbar ka janaza jab madfan ke liye jaaye
mayyat pe nahi aana tum teer chalane ko
hyder ki wasiyat hai...
qatil ko hassan beta tum jaam pila dena
tum saaqi e kausar ke bete ho bata dena
hyder ki kareemi ka ehsaas dilaane ko
hyder ki wasiyat hai...
abbas ko maula ne nazdeek bulaya tha
shaano pe diye bosay seene se lagaya tha
shabbir ke lashkar ka salaar banane ko
hyder ki wasiyat hai...
zainab se kaha beti shabbir na pyasa ho
maa jaise pilaati thi pani isay raaton ko
zehra ki tarha rehna tum pyaas bujhane ko
hyder ki wasiyat hai...
shabbir se bole ye abid ko bata dena
jab shaam ho barpa to zainab na rahe tanha
bazaar ke manzar mein sadmaat uthane ko
hyder ki wasiyat hai...
fizza ke liye ki hai maula ne ye wasiyat
darbar e yazeedi mein jab zad pe hogi ismat
tum dhaal wahan hona tatheer bachane ko
hyder ki wasiyat hai...
taskeen ki khaatir ye shabbir se farmeina
tum shaad raho beta aur shaad usay rakhna
beti jo khuda dega seene pe sulaane ko
hyder ki wasiyat hai...
aakhir mein kiya yasir maula ne ada kalma
muslim meri beti ki khaatir hai mera lehja
raahon mein bina chadar khutbaat sunane ko
hyder ki wasiyat hai...