ali ki aankh mein aansu thay aur honton pe ye nauha
jo dil ka haal hai mere kabhi ummat na samjhegi
ali kehte thay mai talwaar se maara na jaunga
magar zahra ye tanhaai to meri jaan le legi
suno zahra madine mein tera ghamkhar tanha hai
tumhare baad zahra hyder e karaar tanha hai
ye kaisa waqt hai ke waqt ka sardar tanha hai
tumhare baad zahra hyder e karaar tanha hai
madine waale mujhko dekh kar moo phayr lete hai
wo mimbar se nabi ke ab meri tauheen karte hai
fidak cheena tha jaisa us tarha mimbar bhi cheena hai
ye kaisa waqt hai ke...
tumhare baad zahra...
rasan jab daal ke gardan mein mere mujhko khayncha tha
mohamed ki qasam mujhko nazar bazaar aaya tha
na jaane kyun nigahon mein meri zainab ka chehra hai
ye kaisa waqt hai ke...
tumhare baad zahra...
ye pehli baar tha zahra jo mera haath kaampa tha
bahot mushkil se maine tumse darwarza hataya tha
wo manzar yaad aaye to mera dil khoon rota hai
ye kaisa waqt hai ke...
tumhare baad zahra...
tumhare laadle bachon ka aise dhyaan rakhta hoo
mai apne dil ke saare zakhm bhi unse chupate hoo
dar o dewaar ne ghar ke ali ka haal dekha hai
ye kaisa waqt hai ke...
tumhare baad zahra...
tumhe rota hoo mai zahra meri haalat pe tum ro lo
mai aajaun tumhare paas ye rab se dua maango
tera pehlu shikasta tha ali ka dil shikasta hai
ye kaisa waqt hai ke...
tumhare baad zahra...
azane fajr nauha ban gayi hai aaj kufe mein
kiya hai waar rozadaar pe zaalim ne sajde mein
lahoo itna baha sar se amaama khoon mein dooba hai
ye kaisa waqt hai ke...
tumhare baad zahra...
mai zakhmi hoo magar takleef mujhko ye nahi bibi
mujhe to fikr khaye jaa rahi apne bachon ki
tum hi batalo mere baad kaun inka sahara hai
ye kaisa waqt hai ke...
tumhare baad zahra...
ali ke gham samajh sakta nahi azlaan koi bhi
jo tanhaai thi maula ki bayan ho hi nahi sakti
ali maula ki tanhaai ko bas zahra ne samjha hai
ye kaisa waqt hai ke...
tumhare baad zahra...