logon ye shehr e kufa muslim ki karbala hai
ek be-watan yahan bhi faujon mein ghir gaya hai
ashoor se bhi pehle ashoor ka hai manzar
khush ho rahe hai zaalim muslim ka khoon baha kar
talwaar hai layeen ki mazloom ka gala hai
logon ye shehr e kufa...
barse hai teer is par maare gaye hai naize
laakhon se phir bhi muslim ladta raha akele
na bhai hai na bete na koi aasra hai
logon ye shehr e kufa...
phaynka gaya hai jis dam inko bulandiyon se
awaaz tootne ki aayi thi pasliyon se
mazloom ke labon par bas haye sayyeda hai
logon ye shehr e kufa...
hota gaya izaafa bekas ki bekasi mein
khayncha gaya hai laasha kufe ki har gali mein
shabbir ki tarha se sar jism se juda hai
logon ye shehr e kufa...
kufe mein dar badar thay muslim ke shaahzade
apne padar ko aakhir kaise kafan wo dete
sajjad par jo aaya waisa hi marhala hai
logon ye shehr e kufa...
qasid shahe huda ka pyasa tha be watan tha
chalees din hue thay laasha bhi be kafan tha
jo sheh ke saath hoga sab kuch wohi hua hai
logon ye shehr e kufa...
azlan aur mesum tha sayyeda ka nauha
ay mere laal tujhko maara gaya hai pyasa
muslim ki laash par bhi zehra ki ye buka hai
logon ye shehr e kufa...