muslim ki laash par ye zehra ka marsiya hai
muslim teri shahadat tamheed e karbala hai
karbobala ke jalte sehra mein das moharram
ek aag se ugalte sehra mein das moharram
honi hai jo qayamat ye uski ibteda hai
muslim ki laash par ye...
paon mein tere rassi baandhi hai zaalimon ne
galiyon mein laash teri khaynchi hai zaalimon ne
ghurbat mein haye kaisa tujh par sitam hua hai
muslim ki laash par ye...
muslim teri madad ko ab aaye kaun haye
beta tera janaza dafnaye kaun haye
is dar pa tera laasha kab se latak raha hai
muslim ki laash par ye...
ye soch kar hai larza muslim mere badan mein
ghode se jaise mera ghazi girega ran mein
chath se zameen pa aise tu moo ke bal gira hai
muslim ki laash par ye...
mera jo laadla hai uska safeer hai tu
marne ko jo chala hai uska safeer hai tu
mere hussain se ab kuch door karbala hai
muslim ki laash par ye...
aaghaz e karbala ka ehsaas de gaya tu
marte huwe zara sa pani na pee saka tu
logon ne qatl tujhko pyasa hi kar diya hai
muslim ki laash par ye...
yaqoob aur raza hai ye raaz karbala ka
kufa dikha raha hai andaaz karbala ka
muslim se ibteda hai sarwar pe inteha hai
muslim ki laash par ye...