Kanz e Aza

Ek Sakina aur Ek

A noha written by Yaqoob Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

ek sakina aur ek asghar

ek naaqe par ek naize par


dono madine may hi pale hai

lambe safar pe dono chale hai

ek rasan se ek khanjar se

dono ke hi zakhmi gale hai

dono ka hai ek sa manzar

ek naaqe par ek naize par

ek sakina aur ek...


zulm ki zad par rehte hai dono

dard ka manzar rehte hai dono

saya mayassar hota nahi hai

dhoop may din bhar rehte hai dono

ek baradar ek hai khwahar

ek naaqe par ek naize par

ek sakina aur ek...


deen e khuda ki shaan badane

parda rukhe baatil se hataane

karbobala se shaam ki jaanib

apne padar ka saath nibhane

saath chale hai dono mil kar

ek naaqe par ek naize par

ek sakina aur ek...


zulm safar may jab sehti hai

haye hussaina hi kehti hai

baali sakina aur asghar ko

ek bibi roti rehti hai

ek hai beta ek hai dukhtar

ek naaqe par ek naize par

ek sakina aur ek...


naize par hai ek ki chadar

naize par hi ek ka hai sar

jism pada hai ek ka ran may

ek ko baandha hai naaqe par

ek hai besar ek khule sar

ek naaqe par ek naize par

ek sakina aur ek...


ek ka ran may gala bandha hai

ek ka ran may gala chida hai

jala hai kurta ek ka ran may

ek ka jhoola raakh hua hai

ek qayamat hai dono par

ek naaqe par ek naize par

ek sakina aur ek...


dono ki ghurbat ek jaisi

dono ki hi umr hai choti

asghar hai cheh maah ka bacha

aur sakina chaar baras ki

dono hai ek dard ka paikar

ek naaqe par ek naize par

ek sakina aur ek...


teeron par thay shaahe madina

zakhmi tha akbar ka seena

aamir aur yaqoob wahan se

asghar aur masoom sakina

dono chale jab saath safar par

ek naaqe par ek naize par

ek sakina aur ek...