Kanz e Aza

Abbas Ankhein Khol

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Yaqoob Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

jab sar e abbas zainab ko mila

sar se ye karne lagi ro kar gila

aa gayi bali sakina ko qaza

ab to ay abbas aankhein khol do


qaid khane mein ye zainab ne kaha

ab to ay abbas aankhein khol do


dafn hum ne kar diya ghamkhar ko

tum na aaye aakhri deedar ko

ho gayi hum se sakina bhi juda

ab to ay abbas...


dard aur gham ka dafeena dekh lo

ek nazar qabr e sakina dekh lo

ho nahi paayi wo mar kar bhi reha

ab to ay abbas...


ho gayi hai dafn wo zer e zameen

aaj bhi us ke liye pani nahi

qaid khana ban gaya hai karbala

ab to ay abbas...


rote rote khatm saansein ho gayi

khud bhi uski band aankhein ho gayi

jo tumhe deti thi ro ro kar sada

ab to ay abbas...


mustaqil sehti rahi ranj o mahan

saal bhar pehne rahi ek pairahan

ho gayi ghurbat ki us par inteha

ab to ay abbas...


ab sakina pani maangegi nahi

mashk bhi apni tumhe degi nahi

na karegi tum se wo koi gila

ab to ay abbas...


dukhtar e shaahe madina ke liye

fateha padh do sakina ke liye

kar do apna farz tum ye bhi ada

ab to ay abbas...


jaan se pyari sakina thi tumhe

de rahi hoo mai qasam uski tumhe

khol do ek baar tum aankhein zara

ab to ay abbas...


aamir o yaqoob gham barpa hua

zainab e dilgeer ne jab ye kaha

mil gayi mujhko sakina ki rida

ab to ay abbas...