abid sakina mar gayi
bhaiya ko doongi kya jawab
abid sakina mar gayi
ro kar dam e rukhsat yehi mujhse kaha tha bhai ne
meri sakina aaj se zainab halawe hai tere
bhaiya ko doongi kya...
jee bhar ke baba ko yahan na ro saki ye be-watan
baba hai ban mein be-kafan khud bhi sidhaari be-kafan
har zakhm ka de kar hisaab abid sakina mar gayi
bhaiya ko doongi kya...
haye hussaina ki sada zindan se ab na aayegi
zindan ki tareekh mein ye baat likhi jayegi
zaalim ko kar ke be naqaab abid sakina mar gayi
bhaiya ko doongi kya...
baqer kahin mehwe buka kulsoom hai nauha kuna
yun to sabhi hai dil figaar fizza ho ya akbar ki maa
behosh hai umme rabab abid sakina mar gayi
bhaiya ko doongi kya...
is kamsini mein be-khata kya kay masayeb seh gayi
durre lage gohar chine paidal chali qaidi bani
jab laa saki gham ki taab abid sakina mar gayi
bhaiya ko doongi kya...
daaghe yateemi kya mila aansu muqaddar ban gaye
bacchi ke marne ka sabab yaadon ke nashtar ban gaye
hadh se bada jab izteraab abid sakina mar gayi
bhaiya ko doongi kya...
kaise bayan kar payenge irfan o mazhar abidi
padte huwe ye marsiya ghash kha gayi binte ali
zindan ka likh kar intesaab abid sakina mar gayi
bhaiya ko doongi kya...