Kanz e Aza

Acha Baba Sulane To

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Salman Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

kar raha hai ye raavi bayan karbala

usne ashoor ki shab ka manzar likha

seena e shaah pa binte shaah e huda

aur shabbir kehte thay ye baarha

hum ko jaana hai kal karne waada wafa

tum pe aajayega sabr ka marhala


bat saari sakina ne sheh ki suni

aur jawaban wo bas itna kehti rahi

acha baba sulane to aaoge na

roz chehra dikhane to aaoge na


bole shabbir ay meri noor e nazar

tumko karna hai ab shaam tak ka safar

tumko qaidi banayenge ab ahle shar

boli shehzadi mujhko nahi koi darr

tum kaho tum sulane to aaoge na

roz chehra dikhane to aaoge na

acha baba sulane to...


shaah kehne lage ay meri laadli

tumpe aayegi ab shaam e gham ki ghadi

aag daaman mein hogi tumhare lagi

boli wo fikr mujhko nahi hai koi

mera daaman bujhane to aaoge na

roz chehra dikhane to aaoge na

acha baba sulane to...


muztarib dil se kehne lage shaah e deen

teri qismat mein beti sukoon ab nahi

ab tamache lagayega shimr e layeen

sunke ye baat kehne lagi wo hazeen

shimr se tum bachane to aaoge na

roz chehra dikhane to aaoge na

acha baba sulane to...


phir kiya sheh ne beti se kuch yun sukhan

sab haram honge ab to aseer e mehan

tere haathon mein bhi ab bandhegi rasan

boli ye baat sunke wo tashna dahan

tum galay se lagane to aaoge na

roz chehra dikhane to aaoge na

acha baba sulane to...


roke shabbir ne uske bosay liye

bole rukhsar bhi honge zakhmi tere

tere rone ke shehzadi din aagaye

boli tum kaise dekhoge rote huwe

haan mujhe chup karane to aaoge na

roz chehra dikhane to aaoge na

acha baba sulane to...


badhti jaati thi bechaini shabbir ki

har sitam wo uthane pe raazi hui

zinda baba na honge samajh na saki

sunke sab mushkilein bas ye kehti rahi

gar mai roothi manane to aaoge na

roz chehra dikhane to aaoge na

acha baba sulane to...


likh ke salman dil phat raha hai mera

zain jab shaah e waala ne rokar kaha

ab to zindan marqad banega tera

beti saabir ki thi boli wo sabera

mera laasha uthane to aaoge na

roz chehra dikhane to aaoge na

acha baba sulane to...