zindan ke andhere mein ek bachi roti hai
wo bachi ro ro kar faryad ye karti hai
ache mere baba pyare mere ammu
sunli jo meri faryad o fughan
aa jaaye dilaane mujhko amaan
is qaid mein jo hai haal mera
ho sakta nahi kuch uska bayan
ache mere baba...
kab laut ke hum ghar jayenge
zindan se rehaayi payenge
gar lene na aaye aap hamein
hum ghut ghut ke mar jayenge
ache mere baba...
lilaah karam kuch farmeine
lilaah yahan se le jaaye
ehsaan kare hum pe aa kar
surat to khudara dikhlaye
ache mere baba...
jis qaid mein humko rakha gaya
ehwaal bada wo tha uska
qaidi ke bhi rehne ke khaabil
wo qaid nahi hai ay baba
ache mere baba...
ek lamha sukoon milta hi nahi
zindan ka dar khulta hi nahi
kab din guzre kab raat hui
kuch iska pata chalta hi nahi
ache mere baba...
darr lagta hai is veerane mein
tauqeer na kije aane mein
kya zulm na hote hum par
is haam ke qaid khaane mein
ache mere baba...
taskeen dilaane aate nahi
kyun humko bachane aate nahi
bas itna batade kyun humko
azaad karane aate nahi
ache mere baba...
ye qaid e sitam ye qaid e bala
hum rehte hai jis mein wawaila
ye maskan e insan ho kaise
is mein hai basera zulmat ka
ache mere baba...
kyun sunte nahi hai aah o fughan
faryad kare kis se be-jaan
pardes hai zaalim hai dunya
imdad karega kaun yahan
ache mere baba...
har lamha bulaati thi dukhiya
har lamha ye padti thi nauha
ho dayam o yazdan kaise bayan
jis karb se wo deti thi sada
ache mere baba...