Kanz e Aza

Al Amaan Al Hafeez

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

aamad hui jo bar sare maidan hussain ki

aur dilbare rasool shahe mashraqain ki

sardar e do jahan shahe qibla qain ki

hyder ke laal fatema zehra ke chain ki

shabbir ne shuru kiya apne khitaab ko

sun kar pasina aane laga aaftab ko

al amaan al hafeez al amaan al hafeez


jis ghadi jalwa numaan shaah ki talwaar hui

fauje aada pe chali bar sare kuffaar hui

sirf phirti hui maidan mein nazar aayi ajal

ek sada thi jo zabane dar o dewaar hui

al amaan al hafeez al amaan al hafeez


pal mein chamki sare sar pal mein sare saani

jism ke shehr mein har simt hui veerani

chod kar rooho mein jismo ko chuni raahe faraaq

thi sare dasht sada tehro ali ke jaani

al amaan al hafeez al amaan al hafeez


tab ran mein zulfeqar e ali jalwagar hui

yak dam faza e karbobal mein sahar hui

zeb e yade hussain shahe behrobar hui

sannata ran mein cha gaya jyun jyun khabar hui

ghazi ki aadhi jang thi dekhi taraayi ne

thaani hai pura karne ki ghazi ke bhai ne


dast e shabbir ne jab ghaiz mein toli talwaar

par sameinte huwe peeche hatay jibreel ek baar

itni dehshat hui taari ke laraz uthi zameen

har taraf goonj uthi dashte wigha mein ye pukar

al amaan al hafeez al amaan al hafeez


apni haibat dil e baatil pe raqam karti hui

hasti e ahle sitamgar ko adam karti hui

apni thokar pe liye hai sare maidan e wigha

jhoomti hai sare baatil ko qalam karti hui

al amaan al hafeez al amaan al hafeez


jo bhi panje mein chala aaya wo fin naar hua

dasht kuch dayr mein hi laashon ka ambaar hua

us taraf kasrate afwaaj mein aayi khillat

shaah ki taygh ka rukh jis taraf ek baar hua

al amaan al hafeez al amaan al hafeez


soormaon ko zameen doz kiye jaati hai

khoon e aghyaar e shahe deen piye jaati hai

aaj thoda sa meinassar hua mauqa isko

fatema zehra ka badla bhi liye jaati hai

al amaan al hafeez al amaan al hafeez


sunke haatif ki sada shaah ne roki talwaar

phir hujoome sitam aala hua shal se ek baar

zeen se suye zameen shaahe khush atbaar chale

godh phailaake ye zehra ne pukara zin haar

hussain hussain hussain hussain


ye shor hai girya hai ek maa ka ye nauha hai

har samt fazaon mein bas ek hi naara hai

hussain hussain hussain hussain


be-khata haye tujhe qatl kiya

ek lamha na tujhe chain diya

khanjar e ahle sitam ahle jafa

aur mazloom tera khusk gala

shiddate tashnalabi haye hussain

aur zaalim ki churi haye hussain

khoon ugalti hai zameen wavaila

chain zehra ko nahi wavaila

maqtal e shaah ka manzar hai ajab

seena e shaah pe zaalim hai ghazab

ek maa karti hai faryad o fughan

hussain hussain


bare imdad ali aaye yahan

lutne waala hai nabi ka kunba

katne waala hai shahe deen ka gala

ye sada thi ke qayamat guzri

phir gayi halq e shahe deen pe churi

karbala roti rahi haye hussain

aur maa kehti rahi haye hussain

haye hussain haye hussain


aasman khoon ugalta hai baraye maula

od kar gham ki rida sogh mein doobi hai faza

kaisa manzar tha ajab dayam o yadzan ba-khuda

ek maa roti thi aur padti thi rokar nauha

hussain hussain hussain hussain