Kanz e Aza

Aliun Waliullah

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

goonji ye sada zameen par parwardigar ki

aliyun wali-ullah aliyun wali-ullah

mehnat ali ke laal ki rang laayi hai

sar deke apna shaah ne wilayat bachayi hai


kya kya na gham uthaye wilayat ke waaste

laashon pe laash laaye wilayat ke waaste

zakhmon pa zakhm khaaye wilayat ke waaste

iske liye hussain ne dunya lutaayi hai

mehnat ali ke...

sar deke apna...


barchi ko naujawan ka jigar pesh kar diya

asghar ke jaisa noor e nazar pesh kar diya

iske liye hussain ne ghar pesh kar diya

khud mar ke sheh ne umr e wilayat bachayi hai

mehnat ali ke...

sar deke apna...


marne ko sheh ke saamne chote bade gaye

honton pa apne pyaas saja kar lade gaye

maidan mein dua e wilayat pade gaye

ye shaan e karbala ke shaheedon ne paayi hai

mehnat ali ke...

sar deke apna...


qurbani e hussain mein aisi umang thi

dunya bahot nabi ke nawase pe tang thi

karbobla wilayat e hyder ki jung thi

qurbani e hussain tasavvur pa chaayi hai

mehnat ali ke...

sar deke apna...


allah re batool ke farzand ka jigar

hone ko hogaya tha juda sheh ka sar se tan

maqsad se phir bhi apne hatayi nahi nazar

naize pe daastan e wilayat sunayi hai

mehnat ali ke...

sar deke apna...


tha shaah e deen ke khoon ka pyasa har aadmi

karbobala mein lut'ti thi dunya hussain ki

dunya ko thi wilayat e hyder se dushmani

be-jurm taygh sookhe galay par chadhayi hai

mehnat ali ke...

sar deke apna...


toda gaya pahaad ghamon ka imam par

baazu diye kise na wilayat ke naam par

pani tha band tifl e shahe tishnakaam par

qasim ne apne khoon se mehendi lagayi hai

mehnat ali ke...

sar deke apna...


qurbani e hussain ki daulat sambhal ke

pyase mujahidon ki amanat sambhal ke

rakhna dilon mein apne wilayat sambhal ke

irfan ye shaheed e wafa ki kameini hai

mehnat ali ke...

sar deke apna...