Kanz e Aza

Allah Kya Jigar Tha

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Anees. Lyrics in Roman Urdu.

ek do pahar mein apna bhara ghar luta diya

allah kya jigar tha janab e hussain ka


zakhmi badan firaaq e pisar tashnagi alam

tanhaai fauj e shaam ka nargha naye sitam

ansar o aqroba ke bichadne ka dil mein gham

qaime se aa rahi thi sadaye buka baham

allah kya jigar tha...


jab aaye izn lene ko abbas e bawafa

hasrat se unko dekh ke shabbir ne kaha

jao sidharo bhai nigehban hai khuda

hum jaante hai door nahi aap se khaza

allah kya jigar tha...


jis waqt ishteghasa e abbas ko suna

jaate thay ran mein thokare khaate shahe huda

naagah ek simt mein baazu pada mila

dil thaam kar hussain ne usko utha liya

allah kya jigar tha...


bhai ke baad ran mein gaya naujawan pisar

barchi ne tukde kar diya uska dil o jigar

pahunche khareeb laash ke aur baithe khaak par

barchi jigar se khaynchi to haatif ne di khabar

allah kya jigar tha...


ayub dekho sabr e shehenshah e karbala

tanha jawan laal ka laasha utha liya

haathon pe leke qaime ki jaanib jari chala

dekha na hoga aisa kisi dil ka hosla

allah kya jigar tha...


sab fauj qatl hogayi ab koi bhi nahi

nargha kiye hai sham ke aada udoo e deen

barsa rahe hai teeron ko har simt se layeen

haathon pe apne laate hai bano ka mehjabeen

allah kya jigar tha...


maidan mein sheerkhwar ko laaye juhin hussain

khoya sipaah e shaam ne apna sukoon o chain

paika galay se lipta hua kar raha tha bain

kis sabr se juda kiya wo shaahe mashraqain

allah kya jigar tha...


dafna ke sheerkhwar ke laashe ko shaahe deen

aaye khayaam e zainab e kulsoom ke khareeb

lipti sakina qadmo se dil sog tha hazeen

baba na aap jaaiye kehti thi mehjabeen

allah kya jigar tha...


lipta ke apni beti ko sarwar ne ye kaha

sab hogaye anees o aizza mere juda

hum jaaye qatl gaah mein hai ye marzi e khuda

ran ko sidhaare kehte huwe shaah alwida

allah kya jigar tha...