baade sheh zainabe dilgeer ne kya kya dekha
sumein aspo ke talay bhai ka laasha dekha
haq paraston ka wafadaron ka aur pyaron ka
sar ko naize pe jasad khaak pe bikhra dekha
baade sheh zainabe...
chaadare cheen ke kuffaro ne loota ghar ko
sar barehna shahe laulaak ka kunba dekha
baade sheh zainabe...
shimr ne cheene gohar moo pe tamache maare
khoon kaano se sakina ke tapakta dekha
baade sheh zainabe...
ek rasan mein kiya paband bade choton ko
tauq o zanjeer mein bemaar ko jakda dekha
baade sheh zainabe...
godh se maa'on ki daurane rahe kufa o shaam
jo bhi bacha gira naaqe se kuchalta dekha
baade sheh zainabe...
haye jis shehr mein shehzadi kahi jaati thi
khud ko is koofe mein be-makna o chaadar dekha
baade sheh zainabe...
qaid mein margayi ghut ghut ke sakina aakhir
markhad ek chota sa zindan mein banta dekha
baade sheh zainabe...
haye shabbir ne aur zainab o kubra ne anees
waqt ke saath zamane ko badalta dekha
baade sheh zainabe...