Kanz e Aza

Chalees Baras Rote

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Anees. Lyrics in Roman Urdu.

chalees baras rote na kyun abid e muztar

ta umr sameina raha aankhon mein wo manzar


dekha tha inhi aankhon se ghar apna ujadta

be goro kafan laashe shaheedo ke zameen par

chalees baras rote na…


phirta hi raha aankhon mein bhai ka wo laasha

barchi thi kaleje mein ani seene ke baahar

chalees baras rote na…


guzre thay kahan ranj bahot poocha kisi ne

as shaam hi as shaam kaha sar ko jhuka kar

chalees baras rote na…


daawat koi deta to ye farmate thay sajjad

gar mujhko bulana hai to majlis tu bapa kar

chalees baras rote na…


dekhe thay jo ashoor ko bujhte hue sholay

ta umr dhuan uth'ta raha aahon mein dhal kar

chalees baras rote na…


kya guzri dile sayyede sajjad pe us dam

jab loota gaya bibiyon ka makhna o chadar

chalees baras rote na…


kis mard mein hai hausla juz abid e bemaar

maa behno ko jo dekhle balwe mein khule sar

chalees baras rote na…


har ek nafas girya tha ya tha ata'ay mabood

ek lamha bhi raahat na anees aayi meinassar

chalees baras rote na…