Kanz e Aza

Dard Sajjad ke Khirtas

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Afzal Hussain Najfi. Lyrics in Roman Urdu.

dard sajjad ke khirtaas pe laaun kaise

haye rota hai qalam lafz banaun kaise


jin ki maadar ka janaza tha utha raat ke waqt

sar barehna sar e bazaar bulaaun kaise

dard sajjad ke...


rassiyan paon mein chaale thay tamachon ke nishan

hasrat o yaas ki mayyat ko uthaaun kaise

dard sajjad ke...


paab e jaulan hoo mai hai tauq e giryan zeb e guloo

oonton se girte huwe bacche uthaun kaise

dard sajjad ke...


zakhm jo jism pe aaye hai dikha sakta hoo

dil ne jo shaam mein khaaye hai dikhaun kaise

dard sajjad ke...


karbala kufa ko shaam mein takreem hui

roohe ajdaad tadapti hai suaanun kaise

dard sajjad ke...


nau sau darbari thay namoose nabi pesh hui

hoo ghayoor khoon na ankhon se bahaun kaise

dard sajjad ke...


abr tha patharon ka kehkahe bhi taane thay

tang bazaron se baazari hataun kaise

dard sajjad ke...


ay zamane ke yazeedon na kaho najfi se

khaak ke noor se auqaat bataun kaise

dard sajjad ke...