ek bemaar ko tum itna rulaya na karo
zaalimo aale mohamed ko sataya na karo
shiddate dhoop se abid ka badan jalta hai
garm zanjeer ko tum itna hilaya na karo
ek bemaar ko tum...
natawan hai mera bemaar ye zainab ne kaha
tauq o zanjeer mein abid ko phiraya na karo
ek bemaar ko tum...
do qadam chalte hi bemaar ko ghash aata hai
paon mein chaale hai abid ko chalaya na karo
ek bemaar ko tum...
neend bemaar ko aati hai badi mushkil se
bediyan khaynch ke abid ko jagaya na karo
ek bemaar ko tum...
maang lo bali sakina se ye bachi hai saqi
baaliyan khaynch ke kano se rulaya na karo
ek bemaar ko tum...
sar khule zainab e dilgeer hai bazaaron mein
berida aale mohamed ko phiraya na karo
ek bemaar ko tum...
qaid mein phoot ke roti hai sakina bibi
baap ka sar usay har baar dikhaya na karo
ek bemaar ko tum...
hashmi rote hai irfan se nauha sun kar
munkiron rone do rone se rukaya na karo
ek bemaar ko tum...