Kanz e Aza

Haye Ashoor ke Din

A noha written by Anees. Lyrics in Roman Urdu.

aaya kya daur e bala haye ashoor ke din

khul gaya baab e jafa haye ashoor ke din


qatl zainab ke pisar kar diye jab aada ne

sar kiye tan se juda haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...


dulha qasim bin e farwa o hassan ka ran may

laasha pamaaal hua haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...


naujawan baap ki peeri ka sahara akbar

qatl naize se kiya haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...


quwwat e baazu e shabbir haram ki dhaaras

qatl darya pe hua haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...


baap ki godh may cheh maah ke asghar ka ghazab

teer se halq chida haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...


jab na baakhi rahe ansaar o aizza koi

qatl sarwar ko kiya haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...


sar barehna kiya saydaniyo ko aada ne

cheen kar sar se rida haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...


jiske durr cheen ke zaalim ne tamache maare

uska daaman bhi jala haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...


gham se phat jayenge seene jo likha tu ne anees

nauha e aale aba haye ashoor ke din

aaya kya daur e bala...