raat bhar door se awaaz e buka aati hai
haye baysheer asghar
koi lori hai jo nauhe mein badal jati hai
haye baysheer asghar
dil sambhaale hue dil thaame hue matamiyon
haan isay sunte raho
ek awaaz hai jo qalb ko thar'rati hai
haye baysheer asghar...
kabhi haathon pe shahe deen ke to chehre pe kabhi
ye nami hai kaisi
ye kisi khoon ki surhki si nazar aati hai
haye baysheer asghar...
khaali gehware ko aakhir ye hilaata hai kaun
aur behlaata hai kaun
bekasi jis ki taraf dekh ke sharmati hai
haye baysheer asghar...
umr bhar saaye mein baithi na tere baad kabhi
aur na baithegi kabhi
dhoop us maa ke kareeb aake thitak jaati hai
haye baysheer asghar...
koi dukhiayi behan door bahot door kahin
hai musalsal ghamgeen
yaad teri usay har waqt hi rulwati hai
haye baysheer asghar...
raat ka pichla pehar hogaya shahid phir bhi
hai wohi bechaini
ek faryaad ki ley arsh se takrati hai
haye baysheer asghar...