haye asghar ki sada aati hai ab bhi raat ko
goonjta hai naala e qalbe rababe karbala
jab jhapak jaati thi palke chaunk uth'ti thi rabab
jaise koi kaan mein kehta ho asghar aaye hai
ho kahan ay laal asghar kis tarha dhoonde ye maa
ab na qasim hai akbar kis tarha dhoonde ye maa
tu mere dil ka sukoon hai tu mere dil ka qaraar
yaad mein teri sakina kar rahi hai intezaar
ye batado ho kahan par kis tarha dhoonde ye maa
ho kahaan ay laal…
hai andhera soona jangal darr na jaana mere laal
ye teri lambi judaai kar gayi mujhko nidhaal
mar na jaye teri madar kis tarha dhoonde ye maa
ho kahaan ay laal…
zulm ki aandhi ne tujhko kar diya mujhse juda
kis sitam ke abr mein hai chup gaya chehra tera
thokare khaati hoon dar dar kis tarha dhoonde ye maa
ho kahaan ay laal…
sughra ne ye khat mein likha kaisa hai asghar mera
ghutniyon chalta wo hoga jaan meri us par fida
kya kahegi us se maadar kis tarha dhoonde ye maa
ho kahaan ay laal…
chin gayi chadar bhi meri jal gaya jhoola tera
poochti hoo har kisi se hai kahan asghar mera
mujhko ghere hai sitamgar kis tarha dhoonde ye maa
ho kahaan ay laal…
gham mein tere ro rahe hai ye zameen-o-aasman
mohsin-o-ahmed bhi roye ro rahe hai do jahan
keh rahi thi gham se madar kis tarha dhoonde ye maa
ho kahaan ay laal…