Kanz e Aza

Jhoola Hai Jala

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

haathon mein liye nanhe se jhoole ko ye madar

bikhraye apne balon ko kehti rahi asghar

tu kya gaya ke chaya hai aankhon mein andhera

karbobala mein hogaya barbad mera ghar


jhoola hai jala ay laal tera

hai khaak basar ran mein bano

rone bhi nahi dete aada

hai khaak basar ran mein bano


asbab luta qaime bhi jale

chadar bhi chini durre bhi lage

dooba hua gham mein hai kunba

hai khaak basar…

jhoola hai jala…


ek hookh si dil mein uth'ti hai

aur dard jigar mein hota hai

hasta hua gulshan loota gaya

hai khaak basar…

jhoola hai jala…


kano se lahoo jo behta hai

shikwa bhi kare to kisse kare

baba hai aur na uska chacha

hai khaak basar…

jhoola hai jala…


wo sookhi labon ki yaadein bhi

yaad aati hai uski pyari haseen

yaad aati hai uski har ek ada

hai khaak basar…

jhoola hai jala…


ye kaisi qayamat aayi hai

murjhayi gayi nanhi si kali

dhadkan mein hai matam ki sada

hai khaak basar…

jhoola hai jala…


wan ghash mein pade hai zainul-liba

yan zainabe kubra ki hai fughan

kya maajra hai ya rab tu bata

hai khaak basar…

jhoola hai jala…


ab kaun sahara de usko

ab kaun dilaasa de usko

barbad hui uski dunya

hai khaak basar…

jhoola hai jala…


us din se lekar maut talak

saaye mein na baithi ahmed wo

dil ke hai hassan ke gham ye bada

hai khaak basar…

jhoola hai jala…