jhoola veeran hua hai mera asghar na raha
dil pe sadma hai bada mera asghar na raha
baad tere mujhe ab neend nahi aati hai
chain ab bali sakina bhi nahi paati hai
kaisi aayi ye khaza haye haye
mera asghar na raha
jhoola veeran hua…
boondh pani ke aewaz tujhko mila teere sitam
zulm ne baandhe rasan kaise karoo tera gham
doo mai ab kisko sada
mera asghar na raha
jhoola veeran hua…
ab bhi khaabon mein mere hasta hua aata hai
tab kahin jaake mera dil bhi sukoon paata hai
meri aankhon ki ziya
mera asghar na raha
jhoola veeran hua…
aaja aghosh mein mai tujhko chupa loo beta
apne bahon mein tujhe jhoola jhulaun beta
ye sitam mujhpe hua
mera asghar na raha
jhoola veeran hua....
jab mai jaungi madine to kahoo kya dilbar
pooche gar sughra kahan hai mera bhaiya asghar
kya kahoo us se bhala
mera asghar na raha
jhoola veeran hua…
kaise manzar wo bhula payegi maadar beta
tere seene pe jo maara tha layeen ne naiza
zibha to laal hua
mera asghar na raha
jhoola veeran hua…
waada hai tujhse mera saaye mein na baithungi
gham mein ay laal tere har ghadi mai roungi
meri jaan tujhpe fida
mera asghar na raha
jhoola veeran hua…
darde dil uska bhala kaise ho ahmed se rakhm
na bhula payega mohsin ye jahan uska gham
thi ye ek maa ki sada
mera asghar na raha
jhoola veeran hua…