Kanz e Aza

Laashe Pe Kehti Thi

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

laashe pe kehti thi maa ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar ali akbar

laila ke dilbar ali akbar ali akbar


teeron ke bal aaye jab sajde mein shaahe umam

ran mein unka sar hua kund khanjar se qalam

lootne sadaat ko aagayi fauje sitam

sar jhukaye khaak par baithe hai ahle haram

ro raha hai aasman ay mere akbar jawan

ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar…


allah allah ye sitam allah allah ye jafa

durre lagaye hamein cheenli sar se rida

karbala mein har taraf ek andhera cha gaya

zalzale mein hai zameen khoon ugalti hai faza

qaima qaima hai dhuan ay mere akbar jawan

ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar…


ran mein bhai bekafan aur behan hai berida

reesmane zulm hai aur sakina ka gala

durron se bemaar pe karte hai zaalim jafa

nanhe nanhe bachon mein ek qayamat hai bapa

lut raha hai karwan ay mere akbar jawan

ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar…


asr ka hangaam wo subho ka manzar nahi

rounakhein sab lut gayi ab wo bhara ghar nahi

nasir o yawar nahi shere dilawar nahi

aun o mohamad nahi qasim o asghar nahi

tumne bhi khaayi sina ay mere akbar jawan

ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar…


dil ka ye armaan tha laaun mai teri dulhan

shaadi rachaun teri ay mere tashna dahan

tapti hui dasht mein lut gaya mera chaman

kaisi musibat hai ye kaisa ye ranj o mehan

kuch to kaho meri jaan ay mere akbar jawan

ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar…


khaak hoke rehgayi bachi ki har aarzu

ho rahi hai zulm ki justaju pe justaju

kabse hai jakda hua uska rassi mein gulu

beh raha hai ab talak uske kano se lahoo

yun chini hai baaliyan ay mere akbar jawan

ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar…


dekhte hi dekhte kaisa aaya inqilaab

lut gaya pardes mein mere bete ka shabab

mil gaya sab khaak mein husne risalat ma'aab

maa ki aankhon ke liye hogaya bas ek khwaab

tera sehra meri jaan ay mere akbar jawan

ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar…


zikr chidte hi tera aankhein ho jaati hai nam

padte hai nauha tera ahmed-o-mohsin baham

khatm tujhpe hogaye jitne thay zulm o sitam

tera gham aisa hai gham jiske aage saare gham

bhooli bisri daastan ay mere akbar jawan

ay mere akbar jawan

humshakle payambar ali akbar…