haye kya qayamat hai
seena e akbar se takrayi sina
tukde tukde hogaya laila ka dil
ran mein ghode se gira kadiyal jawan
tukde tukde hogaya laila ka dil
jis ghadi laaya gaya maadar ko laashe ke khareeb
ungliyan thi zulf e akbar mein tadapti thi ghareeb
dekh kar seene pe barchi ka nishan
tukde tukde hogaya...
chand se seene mein uljha hai kahan barchi ka phal
maa ko batlade nikalegi koi mushkil ka hal
kuch to moo se bol ay baba ki jaan
tukde tukde hogaya...
khoon ho kar reh gayi sab hasratein akbar ke saath
barchiyon ne lootli lamhon mein maa ki kayenat
keh rahi hai ro ke saari bibiyan
tukde tukde hogaya...
dekh kar naize pe apne laal ko rone lagi
kaifiyat ek ghamzada maa ki ajab hone lagi
qaatil e akbar nazar aaya jahan
tukde tukde hogaya...
dekh kar naize pa sar akbar ka sab ne sar dhuna
aurton ko shaam ki jis waqt ye kehte suna
mar gayi ho is jawan bete ki maa
tukde tukde hogaya...
aur kuch bhi badh gaya ek ghamzada maa ka malaal
sun ke aansu aagaye bemaar beti ka sawaal
hai kahan jis dam pukari bhai jaan
tukde tukde hogaya...
ye hua mehsoos ke ashoor ka din aagaya
yaad ay karbobala tera muazzin aagaya
masjidon mein jab kabhi goonji azaan
tukde tukde hogaya...
apne yusuf ki judaai maa ko tadpane lagi
chand si surat ali akbar ki yaad aane lagi
chand ko tere jo dekha aasman
tukde tukde hogaya...
farshe majlis par azadaron ka chehra zard hai
aamir o akhtar har ek misre mein itna dard hai
sun ke nauha keh rahe hai do jahan
tukde tukde hogaya...