shaam e ghariban ghup andhiyara
aur pehre par zainab hai
khoon mein dooba jangal saara
aur pehre par zainab hai
sehme sehme se bache hai
bewa'on ke godhi mein
dashte bala ki khaak bhari hai
kuch maa'on ki godhi mein
dil hai ghamon se paara paara
aur pehre par zainab hai
shaam e ghariban...
sehra ke is sannate mein
ek zainab kis kis ko sambhale
jalti zameen par sote hai
sab khoon mein ghaltan godh ke paale
koi nahi ghurbat mein sahara
aur pehre par zainab hai
shaam e ghariban...
koh e masayab toot pada hai
gham se kaleje chaak huwe hai
charon taraf nazron mein dhuan hai
jal kar qaime khaak huwe hai
chup hai mareez e gham bechara
aur pehre par zainab hai
shaam e ghariban...
charon taraf bikre hai janaze
aur is mein masoom sakina
bojhal bojhal si aankhein hai
dhoond rahi hai baap ka seena
rota hai darya ka kanara
aur pehre par zainab hai
shaam e ghariban...
saani e zehra ko bas ye
ehsaas rulaaye jaata hai
hijr tumhara hai bhaiya
abbas rulaaye jaata hai
kaam to tha ye bhai tumhara
aur pehre par zainab hai
shaam e ghariban...
dekh ke laashon ko maqtal mein
aahein bharti jaati hai
is bechaini ke aalam mein
raat guzarti jaati hai
khoon rota hai subha ka taara
aur pehre par zainab hai
shaam e ghariban...
aamir o akhtar sab ki muhafiz
zainab tanha raat mein hai
jaanib e darya dekh rahi hai
toota naiza haath mein hai
khaak basar hai kunba saara
aur pehre par zainab hai
shaam e ghariban...