lahoo mein doob gaya jab shabihe paighambar
zameen e karbobala par tha hashr ka manzar
hussain dhoond rahe thay jawan ke laashe ko
thi muntazir dar e qaima pe ghamzada maadar
lahoo mein doob gaya...
na koi dost na bhai na aasra tha koi
lahoo ke sher mein tanha tha fatema ka pisar
lahoo mein doob gaya...
har ek baar ye mud mud ke dekhe thay hussain
nikal na aaye kahin ran mein zainab e muztar
lahoo mein doob gaya...
pukaarte thay andhera hai meri aankhon mein
mere jawan mere dilbar mere ali akbar
lahoo mein doob gaya...
kahan talaash karun kuch nazar nahi aata
zameen e garm pe dekho bhatak rahi hai nazar
lahoo mein doob gaya...
qadam qadam pe idhar gir ke uth rahe thay hussain
kaleja thaam ke akbar tadap rahe thay udhar
lahoo mein doob gaya...
sada sune to sahara mile zaeefi ko
ajeeb waqt hai mushkil kusha ke bete par
lahoo mein doob gaya...
fareed sheh ki musibat bayan kya karte
nazar nazar thi qayamat qadam qadam mehshar
lahoo mein doob gaya...