Kanz e Aza

Jhoola Veeran Hai

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

jhoola veeran hai aur godh bhi khali asghar

maa ko batlade kahan basti basaali asghar


sar pe chadar jo na thi maa ne kafan ki soorat

khakh maqtal ki teri laash pe daali asghar

jhoola veeran hai…


maar kar teer tabassum ka sitamgaron ko

aabru deen e mohammad ki bachali asghar

jhoola veeran hai…


bhool jaaye tera gham bali sakina kaise

teri soorat hai kahan bhoolne waali asghar

jhoola veeran hai…


baab e khyber jo utha'te to na hoti diqqat

laash sarwar ne teri kaise uthaali asghar

jhoola veeran hai…


maut ghabragayi maathe pe paseena aaya

maut ki aankh may yun aankh hai daali asghar

jhoola veeran hai…


kaise ho jaye kisi dar ka bikhari rehaan

hai azal se ye tere dar ka sawaali asghar

jhoola veeran hai…