na maaro na maaro
haye pathar na maaro
pathar barsane waalon
mai qaidi pardesi hoo
mujhko tadpaane ki khaatir
zehra ka rulaane ki khaatir
raston ko sajaane waalon pardesi hoo
pathar barsane waalon...
sunte ho azan mein naam uska
dar asl wo hai mera nana
aaye ho tamashayi ban kar
be-makhna hoo mai be-chadar
ay mujhko rulaane waalon pardesi hoo
pathar barsane waalon...
kaanto pe chalaate ho mujhko
har gaam sataate ho mujhko
durro se aziyyat dete ho
rone pe qayamat dhaate ho
bazaar mein laane waalon pardesi hoo
pathar barsane waalon...
din dhoop mein hai shab oss mein hai
har ek lamha afsos mein hai
zardi hai alam ki chehron par
aur gard e safar hai baalon par
dil mera dukhaane waalon pardesi hoo
pathar barsane waalon...
is shehr ki mai shehzadi thi
sab ko parda sikhlaati thi
azaad kaneezo ko bhi kiya
apna yateemo ko samjha
mujhe qaidi banaane waalon pardesi hoo
pathar barsane waalon...
saaye mein nahi chalne dete
aaraam nahi karne dete
girte hai jo oonton se
bache marte hai wo dab kar pairon se
ay rehm na khaane waalon pardesi hoo
pathar barsane waalon...
mere bhai bhatije maar diye
sar kaat ke phir naizon pe rakhe
raste mein ko thokar khaata hai
bemaar ko ghash aa jaata hai
ay zakhm lagane waalon pardesi hoo
pathar barsane waalon...
rehaan meri aaqa zaadi
darbar mein yun thi faryadi
kohraam bapa darbar mein tha
us waqt nabi zaadi ne kaha
ghar mera jalaane waalon pardesi hoo
pathar barsane waalon...