Kanz e Aza

Mujhe Qaidi Samajh

A noha for Darbaar e Shaam, written by Safdar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

mujhe qaidi samajh nahi shireen

kar ghaur zara mai zainab hoo

tere shehr mein dekh ye haal hua

nahi sar pe rida mai zainab hoo


kar yaad wasiyat bhai ki

mehmaan banenge hum tere

pehchan mujhe in baalon se

chehre pe pade hai jo mere

dil gham se phata jaata hai mera

kar koi dawa mai zainab hoo

mujhe qaidi samajh nahi...


jis shehr ki mai shehzadi thi

aayi hoo wahan qaidi ban kar

quran ki tilawat karta hai

wo dekh mere bhai ka sar

pehchan mujhe kya aur kahoo

ab iske siwa mai zainab hoo

mujhe qaidi samajh nahi...


nazron ko utha kar dekh zara

naizon pe shaheedon ke sar hai

bemaar bhatija saath mere

aur ahle haram be-chadar hai

aulaad e ali hone ki yahan

paayi hai saza mai zainab hoo

mujhe qaidi samajh nahi...


shireen kya kya batlaun tujhe

jo zulm sahay hai raahon mein

sunti hai yateemon ke naale

kya karb inki aahon mein

sehti hoo jafayein ummat ki

be-jurm khata mai zainab hoo

mujhe qaidi samajh nahi...


hum aal e mohamed hai shireen

ye kunba koi aur nahi

tu ghaur se dekhle chehron ko

pairon se tere niklegi zameen

ye hai laila ye bano hai

ye hai farwa mai zainab hoo

mujhe qaidi samajh nahi...


safdar roodad ye zainab ki

sun jar shireen behosh hui

kehti thi peet ke sar apna

hae maut mujhe kyun na aayi

jab mujhse meri aaqa zaadi

zainab ne kaha mai zainab hoo

mujhe qaidi samajh nahi...