mayyat hai sakina ki andhera haye zindan
allah na dikhlaye ab aisa zindan
kurte ka kafan ghusl diya ashkon se jisko
dafnaya usay kaise ye sajjad se poocho
khamosh hui bachi to rota raha zindaan
mayyat hai sakina ki...
udte huwe dekhe jo parinde to pukari
ay taayiron sughra ko khabar do ye hamari
tum khush raho sughra mere kismat may tha zindan
mayyat hai sakina ki...
kano ka lahoo chand se chehre pe jama tha
qaimo may lagi aag to daaman bhi jala tha
tanhai may bachi ko dasta raha zindan
mayyat hai sakina ki...
sehmi hui rehti thi sitamgaaron ke dar se
shikwe kiya karti thi fakhad baap ke sar se
likha gaya kismat may ye kaisa zindan
mayyat hai sakina ki...
ab khaak pe soti hoo na takiya hai na bistar
rakta nahi ek shamma koi ab to jala kar
jeene nahi deta hai ay baba zindan
mayyat hai sakina ki...
kehti thi phuphi qaid se kab hogi rehaai
amma mere ammu ki khabar kyon nahi aayi
tukde kiye deta hai kaleja mera zindan
sar baap ka paaya to wo phir is tarha soyi
phir royi nahi uske liye maut thi royi
deta raha sajjad ko pursa sada zindan
mayyat hai sakina ki...
maa kehti rahi aao utho neend se jaago
azaad hui qaid se mai jaati hoo ghar ko
milne chalo sughra se ke ab khul gaya zindan
mayyat hai sakina ki...
ghar jaane ka arman tha sakina ko jo rehaan
marke bhi na pura hua us bachi ka armaan
masoom sakina ka marqad bana zindan
mayyat hai sakina ki...