maqtal may kho gayi hai akbar ki jawani
soyi hai sina khaake payambar ki nishani
sughra ko madine may ajab khaab ye aaya
lut'te huwe dekhi hai biradar ki jawani
maqtal may kho gayi…
tukde ali akbar ke kaleje ke jo dekhe
yaad aagayi phir maut ko shabbar ki jawani
maqtal may kho gayi…
athara baras ka tha din byah ke aaye
tar khoon may magar hogayi akbar ki jawani
maqtal may kho gayi…
rehaan shah e wala ka daaman hua khaali
bachpan raha asghar ka na akbar ki jawani
maqtal may kho gayi…