zaanu pe rakh ke sar ko mazloom e karbala
kehte thay tadap kar
mar na jaaye kahin wo maa akbar
is tarha lo na hichkiyan akbar
khoon jo seene se hai rawan akbar
kar ke tanha chale kahan akbar
mar na jaaye kahin...
laasha qaimon mein le ke jaana hai
zakhm maaon se ye chupana hai
aise ragdo na aediyan akbar
mar na jaaye kahin...
haal e ghurbat tumhe sunana tha
maa ne seene tumhe lagana tha
aa gayi darmiyan sina akbar
mar na jaaye kahin...
dil ki dhadkan ko aasra de do
hum ko awaaz e mustafa de do
ab nahi doge kya azaan akbar
mar na jaaye kahin...
sun ke teri sada e adrikni
daude kehte huwe ye ibne ali
aa raha hoo mai meri jaan akbar
mar na jaaye kahin...
meri beenayi kho gayi hai pisar
mujhko aata nahi hai kuch bhi nazar
do na awaaz ho kahan akbar
mar na jaaye kahin...
haath seene pe dhar liya beta
maine mehsoos kar liya beta
zakhm gehra hai meri jaan akbar
mar na jaaye kahin...
mere yusuf tum hi thay ay pyare
meri aankhon ke tum hi thay taare
kho gaya mera kul jahan akbar
mar na jaaye kahin...
likh zoha dil mera bhi phat'ta hai
saath barchi ke dil bhi khichti hai
khaynchte hai wo jab sina akbar
mar na jaaye kahin...