Kanz e Aza

Kund Khanjar Na

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

garm reti pe sar e dasht ajab hai manzar

koi saaya hai jo deta hai sada ro ro kar

dekh zakhmi hai musafir hai mera lakhte jigar

kam se kam pani se tar kar le layeen tu khanjar

qabr ko chod ke yan aayi hoo dilgeer hoo mai

naam zehra hai mera maadar e shabbir hoo mai


kund khanjar na chala shimr e sitamgar ruk ja

waasta rab ka tujhe behre payambar ruk ja


is ke farzand jawan ne abhi khaayi barchi

is ke seene mein hai paywast wo naize ki ani

zakhm par zakhm na de ab to sitamgar ruk ja

kund khanjar na chala...


iske chehre pe lahoo asghar e baysheer ka hai

ghao seene mein abhi is ke kisi teer ka hai

hai abhi sajda e mabood mein ye sar ruk ja

kund khanjar na chala...


ek bhai tha jo bekas ki kamar tod gaya

ek bhatija tha bilakta hua jo chod gaya

mai dua doongi tujhe haath utha kar ruk ja

kund khanjar na chala...


be gala jisko samajhta hai tu sarwar ka gala

ghaur se dekh ye hai tere payambar ka gala

kuch na samjhe to yehi baat samjh kar ruk ja

kund khanjar na chala...


jurm kya hai mere bache ka tu itna to bata

is ke nana ka padha karta hai tu bhi kalma

muntazir is ki hai ek choti si dukhtar ruk ja

kund khanjar na chala...


aisa lagta hai ke hamsheer nahi hai teri

warna rakhta nahi pyase ke galay par tu churi

qaime ke dar pe hai mazloom ki khwahar ruk ja

kund khanjar na chala...


chakkiyan pees ke mehnat se isay paala hai

is ne jo keh diya khudrat ne kahan taala hai

ye dila sakta hai jannat mein tujhe ghar ruk ja

kund khanjar na chala...


safdar e khasta jigar gham ye bayan kaise karun

chashme zehra jo se tapka tha wo ek khatra e khoon

tu bhi rehaan qalam rakh de ye keh kar ruk ja

kund khanjar na chala...