Kanz e Aza

Hurmula ke Teer ka

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

kis khadar tha wazn aakhir hurmala ke teer ka

zakhm hai taaza abhi tak gardane baysheer ka


zabte gham se zard hai chehra shahe dilgeer ka

saamna kaise karenge maadare baysheer ka

kis khadar tha wazn…


baap ke haaton pe bacha zibha hokar reh gaya

kaam qaatil ne liya hai teer se shamsheer ka

kis khadar tha wazn…


sookh jaana chahiye ta hashr tujhko ay furaat

chand khatron par tere kya haq na tha baysheer ka

kis khadar tha wazn…


godh bhi veeran hui aur maang bhi ujdi teri

sabr kar bano ke ye sab khel hai taqdeer ka

kis khadar tha wazn…


khusk honton ke tabassum ka ye ek aejaz hai

dhajjiya hokar bikharna shaam ki tasveer ka

kis khadar tha wazn…


baap ki talwaar se bete ki marqad khodna

karbala mein sab se mushkil kaam hai shabbir ka

kis khadar tha wazn…


kyun kisi ki godh mein asghar nazar aata nahi

khauf se larza hai dil shahid kisi hamsheer ka

kis khadar tha wazn…