karbala walon pa jo guzri qayamat aur hai
har payambar par jo aayi wo musibat aur hai
asr tak kya jaane kya ho pyas ki shiddat ka haal
suboh se ashoor ke suraj ki hiddat aur hai
karbala walon pe…
kat ke sar darul amaara par hai shah ka muntazir
kufiyon muslim ka andaz e sifarat aur hai
karbala walon pe…
kheenchni hai seena e akbar se barchi ki ani
aakhri ye shaahe deen bete ki khidmat aur hai
karbala walon pe…
rayg zaare garm par chadar bichate hai hussain
kya kare ke laasha e qasim ki haalat aur hai
karbala walon pe…
baab e khyber ka uthana wo shuja'at aur thi
teer kha kar muskurana ye shuja'at aur hai
karbala walon pe…
dushmanane karbala phir maareka aara hai aaj
majlis o matam ki shahid ab zururat aur hai
karbala walon pe…