karbala yaad rahey karbobala yaad rahey
ghar mohammed ke navasey ka luta yaad rahey
1. waqt tha asr ka jab shey ne diya sar apna
haaye woh teg-e-sitam khushk gala yaad
rahey
2. kaisi shaadi thi rachi haaye huwi barbadi
aayi ek shab ki dulhan par jo bala yaad rahey
3. jab lagi akber-e-mehroo ke jigar par barchi
shay ki binaayi gayi arsh hila yaad rahey
4. ta qayamat nahi bichdenge wafa-o-abbas
naam-e-abbas se baqi hain wafa yaad rahey
5. sar pe islam ke jab dhoop sitam ki aayi
dedi kulsoom ne zainab ne rida yaad rahey
6.tum ko har haal mein karna hain gham-e-sibtey
nabi
shay ne aafat mein hamein kiya yaad rahey
7. kehke labbaik utho matam-e-shabbir karo
aaj bhi aati hain halmin ki sada yaad rahey
8. teer kab asghar-e-beshir ki gardan pa laga
teer woh qalb-e-mohammed pa laga yaad
rahey
9. be sahara huwa islam to shey ne sarwat
dediye baazo-e-abbas zaara yaad rahey