koi to lasha e shabbir laye qaimo mein
behen ghareeb ki turbat banaye qaimo mein
1. jo mashk khali liye atay shah ko dekha
yun pas rakha hai ibn e ali ki ghurbat ka
sagheer bacho ne kosay chupaye khaimo mein
2. mein apne hath se turbat bana ke aya hu
rabab dasht mein asghar sula ke aya hu
hussain kaise ye ja ker bataye khaimo me
3. ye jaltay qaimo ka manzar ajeeb hai ya rabb
utha ke jati hai abid ko is tarha zainab
hussain jis tarha akbar ko lae qaimo mein
4. kafan ki aakhri umeed akhri tatbeer
aabhi toh sar pe salamath hai chadar e tatheer
5. guroob hota hai suraj tuloo hotay hai sab
tadap rahi hai har ek maa ye dekh kar akbar ke badgte aatay naizo ke saae qaimo mein