Karbobala ke ban me qasim bana hai dulha
pyaase hai sab baraati, ibne hassan hai pyaasa
1) Aaye jo ran me qaasim, teghe hassan sambhaale
tera baras ka sin hai, aur housle jiyaale
charcha hua ke aaya, abbas ka bhatija
Karbobala ke ban me qasim bana hai dulha
2) Aamad se jiski ran me ek tehelka tha barpa
ibne hasan ne khaincha maidan ka jo naksha
larza hai har badan me, saamaan hai qaza ka
Karbobala ke ban me qasim bana hai dulha
3) Seekhi hai jung jisne, abbas safshikan se
arzaq ke chaar bete, kaate hai teghe zan se
taaza lahu hai jaari, arzaq ke bhi badan ka
Karbobala ke ban me qasim bana hai dulha
4) Maidaane karbala me, fat'ho zafar wo paayi
hamlo'n ne jis ke aisi, shaane Ali dikhaayi phir saamna hua hai, baatil se buth shikan ka
Karbobala ke ban me qasim bana hai dulha
5 Qasim ke ab muqabil, aaye to koi kaise
Teghe Hasan ke jauhar, jab shaamiyo ne dekhe
Maidane karbala me, ek ghul hai marhaba ka
Karbobala ke ban me qasim bana hai dulha
6 Gurze sitam laga jo, Qasim sambhal na paaye
Maidane nainawa me, jalti zameen pe aaye
Imdaad jald karne, Ammu ko hai pukara
Karbobala ke ban me qasim bana hai dulha
7 ladte kaha talak ke, sehroz ke the pyaase
Damade shaahedeen ko, maragaya dagha se
Pamaal hogaya hai, karbobala ka dulha
Karbobala ke ban me qasim bana hai dulha
8. Farshe aza pe harja, Ashke aza bahaye
Seeno pe daaghe matam, hai matami sajaye
Pursa qubool ya rab, ho Naseere aza ka
9. Hyder faza e Alam, ghamgeen hogayi hai
Chashme falak abhi tak, haye khoon rorahi hai
Dekha hai isne manzar, pamaliye badan ka