Kanz e Aza

Karbobala May Arsh

A noha written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

karbobala may arsh ke taare bikhar gaye

maqtal may bhook o pyaas ke maare bikhar gaye


shiddat thi aaftab ki ya roz e qatl e shaah

aahon se fatema ke sharaare bikhar gaye

karbobala may arsh ke...


gaysu e mushk o boo ali akbar ke raat bhar

maa ne hazaar baar saware bikhar gaye

karbobala may arsh ke...


darya pe bhai dasht may farzand ran may do

mazloom ke tamaam sahare bikhar gaye

karbobala may arsh ke...


rudaad e teer keh na saka moo se be zaban

masoom ke fiza may ishaare bikhar gaye

karbobala may arsh ke...


dauda diye faras jo layeeno ne laash par

aaza hassan ke laal ke saare bikhar gaye

karbobala may arsh ke...


bache kahin hai shaam e ghariban haram kahin

aandhi chale bala ki sitaare bikhar gaye

karbobala may arsh ke...


quran ko aaj tak hai un auraakh ki talaash

jo nehre alqama ke kanare bikhar gaye

karbobala may arsh ke...


zehra uthaane aayi hai majlis may ay urooj

gohar jo aansuon ke hamare bikhar gaye

karbobala may arsh ke...