kya poochte ho abide khasta jigar ka haal
gham se kabhi bukhaar ki eeza se thay nidhaal
abbas o aur qasim o akbar ka tha malaal
yaad aa rahe thay aun o mohamed se naunehaal
ashoor ka tha din to qayamat ki raat thi
namoose mustufa ki hifazat ki raat thi
kya poochte ho…
jab zaalimo ne aag lagayi qayaam mein
quwwat nahi thi utne ki paa'ye imam mein
dena tha imtehan bhi ek raahe shaam mein
ek daagh aur bad gaya maahe tamam mein
qaimon mein aag se thi jo zainab ko bekali
sajjad uth khade hue kehkar ke ya ali
kya poochte ho…
qaima jala to khaak ke upar basar hui
mushkil tha aaj subho ka hona magar hui
har baat zaalimo se jo ki be-asar hui
abid ko jab aseeri ki apni khabar hui
kehne lage ke jaata hoo baba salam lo
haq mein mere huzoor duaon se kaam lo
kya poochte ho…
sar karbala ko aapne kis sabr se kiya
mere liye hai koofe se taa shaam faasla
kuch kam nahi hai waise to mera bhi hausla
namoose mustufa ka hai dar pesh marhala
jayengi nange sar phupi darbar e shaam mein
dekhunga mai ye taab kahan hai ghulam mein
kya poochte ho…
itne mein qaid karne ko aa pahunche ashkiyan
kehne lage phupi se ye bemaar e karbala
balon se moo chupa lo jo sar par nahi rida
manzil kathin hai aaj ki behtar kare khuda
mushkil mein ya ali madadi kehna baar baar
bachon se aur bali sakina se hoshiyaar
kya poochte ho…
abid ki natawani pe hairaan thay layeen
manzil ko sar karega ye aata na tha yaqeen
ye itna ghamzada hai ke mar jayega kahin
iske sabaat o himmat o jurrat pe aafreen
ye azm hai ke khafila salaar ban gaya
aisa chala ke waqt ki raftaar ban gaya
kya poochte ho…
yun karbala se ujda hua khafila chala
jaise kisi ka khafila salaar mar gaya
oonto se girte jaate thay bache bhi jan bajan
aayi sar e hussain se be-saakhta sada
kis haal mein ho bachi pe meri nazar nahi
zainab sakina gir gayi tumko khabar nahi
kya poochte ho…
khaame ko rok dil mein nahi taab ay urooj
purnam hai saari mehfile ehbaab ay urooj
umda hua ashkon ka sailaab ay urooj
gulshan nabi ke deen ka shadab ay urooj
ya rab mai jee raha hoo panjetan ke saath
mehshar bhi mai rahoo mai isi anjuman ke saath
kya poochte ho…