Kanz e Aza

Koi Dulha Nahi Daikha Jahan Mei Qasim Sa

A noha for Shahzade Qasim (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Jis Ki Baraat Gaee Ore Janaza Louta


Khaaq Ore Khoon Say Hain Haath Bharay Syed Kay

Chaanth Ker Rait Say Dhoonda Hai Badan Qasim Ka


Dar-e-Khayma Pay Kharay Ho Kay Sada Di Shah Nay

Ho Gaee Bayva Tu Kubra Mera Qasim Na Raha


Kahien Thak Jao Na Shabeer Ye Tukray Chun Kay

Do Ijazat Kay Chalay Saath Madad Ko Ferwa


Aik Shehzaday Ki Baraat Chali Kerbal Say

Kuch Katay Sar Hain Baraati Bibian Bay Parda


Poocha Zalim Nay Yahan Kon Hai Maan Qasim Ki

Bola Zalim Kay Kalayjay Pay Jis Ka Haath Dhara


Soch Saqlain Kay Kya Bibi Pay Guzri Hogi

Subho Dulhan Thi Bani Shaam Ko Qaidan Kubra