ro kar pukare sayyade waala yahin kahin
qasim ka tha pada hua laasha yahin kahin
ay karbala bata mera pyara kidhar gaya
bhaiya hassan ka raaj dulaara kidhar gaya
ghode se wo abhi to gira tha yahin kahin
qasim ka tha pada hua...
farwa ki jaan bhai ka jaani wohi to tha
sar ta qadam hassan ki jawani wohi to tha
wo naujawan maara gaya tha yahin kahin
qasim ka tha pada hua...
ran mein khiza ne kha liya farwa ke baagh ko
nazrein talaashti hai hassan ke chiragh ko
gum ho gaya hai uska janaza yahin kahin
qasim ka tha pada hua...
wallah koi bol de naushaah kahan gaya
ek raat ki dulhan ka wo dulha kahan gaya
usne abhi tha mujhko pukara yahin kahin
qasim ka tha pada hua...
ahle haram mein naala o faryad hai bapa
jaana hai leke laash mujhe suye qaimagah
miljaye mujhko mera bhatija yahin kahin
qasim ka tha pada hua...
sar peet kar qayaam mein roti hai bibiyan
aur dhoondta hoo laasha e qasim ko mai yahan
phat jaye na ghamon se kaleja yahin kahin
qasim ka tha pada hua...
phir karbala ki khaak se shabbir ne kaha
milti nahi hai laash bhatije ki ye bata
kya tune kar diya hai dafeena yahin kahin
qasim ka tha pada hua...
aayi nida e karbobala ya shahe zaman
pamaal ho chuka hai tan e qasim e hassan
bikhra pada hai wo gul e taaza yahin kahin
qasim ka tha pada hua...
aamir rida mein kar ke tan e paash paash ko
bole kumail dekh ke shabbir laash ko
dede mujhe bhi maut khudaya yahin kahin
qasim ka tha pada hua...