qaid jab shaam ke zindan mein huwe aale abaa
bibiyan shaam o sahar rehti thi masroof e aza
ek bibi thi ke tha naam sakina jiska
roz karti thi yehi shaam ke zindan mein buka
mere bhaiya ali asghar ko bayaban mila
mai sakina hoon mujhe shaam ka zindan mila
ek godhi ke paale hai ali asghar aur mai
cheh mahino ke chale hai ali asghar aur mai
usko sone ke liye khoon bhara maidan mila
mai sakina hoon...
mujhko is qaid ki tanhaai se darr lagta hai
koi aata hai to parchayi se darr lagta hai
rehm dil mujhko na ab tak koi insan mila
mai sakina hoon...
hai nahi koi tarafdaar yahan par mera
saans lena bhi hai dushwar yahan par mera
door sab se ye mujhe hujra e veeran mila
mai sakina hoon...
ye naya zakhm diya hai mere maajaye ko
do dafa qatl kiya hai mere maajaaye ko
uska nanha sa badan dasht mein bejaan mila
mai sakina hoon...
jab sitamgar ne mere kaano se bunde kheenche
apne pyaron ko bulaati thi mai aankhein meeche
par na koi bhi mujhe apna nigehban mila
mai sakina hoon...
aediyan pyaas ki shiddat se ragadta tha sagheer
garm reti pe jo dekha to tadapta tha sagheer
jab bhi dekha to mera bhai pareshan mila
mai sakina hoon...
pushte naaqa pe mujhe baandh ke laaye zaalim
jo na hamwaar thi us raah se laaye zaalim
is safar mein na koi raasta aasaan mila
mai sakina hoon...
meri ghurbat ka is ummat ne banaya hai mazaakh
shaam o kufa ke dayaron mein udaaya hai mazaakh
humko ehsaan ke badle mein ye ehsaan mila
mai sakina hoon...
roke kehti thi sakina ye kumail o aamir
kitna dushwaar hai jeena ye kumail o aamir
meri taqdeer se har ranj o mehan aan mila
mai sakina hoon...