shaam ke zindan mein ye ghul hua
mar gayi beemar ki choti behan
chin gaya jab zindigani ka maza
mar gayi beemar ki choti behan
maamta rakhe huwe thi dil pa haat
sochti thi chut gaya beti ka saath
qaid e gham mein aur sannata hua
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...
keh rahe thay zindagi ke teen saal
kar gayi sarwar ki dukhtar inteqal
kamsini mein zulm hai kitna bada
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...
aap hai masroof e girya is taraf
aur qayamat aa chuki hai us taraf
hazrate zainab se bano ne kaha
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...
bhai ki baahon mein baahein daal kar
maut ka tay kar liya aakhir safar
dekhti baba ka kab tak raasta
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...
di kisi ne jaa ke zainab ko khabar
koi ye kehte huwe aaya nazar
is khadar shiddat se yaad aaye chacha
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...
deed ki khwahish thi poori hogayi
maa kalejaa thaam ke rone lagi
jab sar e sibte payambar aa gaya
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...
waqt e aakhir is liye tha intezar
dekh le soorat to aa jaye qaraar
karbala ke baad se dekha na tha
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...
haddiya thi pyaas se sookhi hui
thi phupi ki godh mein baithi hui
dard ki shiddat ne jab hamla kiya
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...
ek hi ishrat sada thi har taraf
ya ali e murtaza shaah e najaf
hasrata wa hasrata wa hasrata
mar gayi beemar ki choti behan
shaam ke zindaan mein...