shimr kehta tha sakina ko sataate rehna
sar dikha kar isay baba ka rulaate rehna
khauf har waqt nazar aaye mujhe chehre par
is qadar raah mein bachi ko daraate rehna
shimr kehta tha...
naaz ab is ke nahi koi uthaane waala
ye tamachon isay yaad dilaate rehna
shimr kehta tha...
baap ka sar jo ye maange to na dena is ko
dil e masoom ko is tarha dukhaate rehna
shimr kehta tha...
aankh mein teer tha aur haath nahi thay us ke
kaise abbas gira zeen se bataate rehna
shimr kehta tha...
ho agar pyaas ki shiddat to rulaane ke liye
pani dikhla ke sakina ko bahaate rehna
shimr kehta tha...
jab rasan khichti hai ghut'ta hai gala bachi ka
bas yehi soch ke abid ko uthaate rehna
shimr kehta tha...
kaise bardaasht kare yaad to aata hai usay
jhoola baysheer ka aangan mein jhulaate rehna
shimr kehta tha...
shaam waalon se nazar ro ke ye zainab ne kaha
ek diya roz yahan aa ke jalaate rehna
shimr kehta tha...